Projects >> Zindagi Jeene Ke Liye
Sarita Medical College main dikshant samaroh (Convocation) ki taiyaari chal rahi hai... Ye ek parampara rahi hai ki iss college ke top six students ko Manohar Nerulkkar Memorial Hospital mein internship ke taur par liya jata hai… Nagpur ke is pratishthit (prestigious) hospital mein internship karna har Medical student ka sapna hota hai Aur jin 6 student ko ye mauka milta hai vo khud ko bahut bhagayshali samjhte hain…
Manohar Nerulkkar Memorial Hospital Apne mareejon ka khaas khayal rakhne aur zaroorat mandon ki madad karne ki wajah se apni ek pehchan bana chuka hai….Hospital ke founder Manohar Nerulkkar ke guzarne ke baad unki patni Laxmi ne saari dekh rekh ka zimmaa le liya hai… unka bhi yahi manana hai ki Hospital mein paiso se jayada jaruri hai duaayein kamana…gareeb jaruratmand logo ki…. Aur yahin vichar unhone apne dono beton ko bhi diya hai…. Aadvik aur Aagosh. Aadvik, zyada pada likha nahi hai, magar usne apne dum par apni building construction company kholi hai…joki shehar ke best construction company mein se ek hai… thoda sa roude aur rough hai, magar dil ka achcha hai… vahin dusri aur Aagosh hai... uska chhota bhai ….joki peshe se doctor hai, aur Nerulkar Hospital ka Dean bhi , vo hospital ko kamai ka jariya samjhta hai… kaha jaye toh zindagi ki taraf uska vayavhar practicle hai, emotional nahi… vo apne hospital ko shehar ka nahi India ka best hopsital banana chahta hai…
Aagosh ki car Sarita Medical College campus ke bahar rukti hai…..road par gadiyon ke aane jane ka shor hai… kuchh medical students ka group road cross kar raha hai…Aagosh apni car se utarte huye kisi se phone par baat kar raha hai aur achanak se uske chehre par ek poster udta huaa aakar lagta hai…vo phone cut karte huye poster hata kar fekta hai ….uski nazar jati hai ki ek bahut hi cute ladki ki tasveer hai..joki kisi jarurat mand mariz ke liye paiso ki help maang rahi hai…. Vo ek pal ko us ladki ko dekhta reh jata hai… Vo poster uthane ke liye aage badhta hai ..poster ud kar aur aage aa jata hai..vo aage badh kar poster uthata hai ki achanak se logo ke cheekhne ki aawaz aati hai aur vo ashchary se palat kar dekhta hai….jahan vo khada tha vahan khade teen logo ko ek truck tezi se kuchalte huye chala gaya hai... bheed zama ho jati aur pata chalta hai ki vo teeno log apni jaan se hath dho baithe …..aaj ek ladki ke poster ki vajah se vo bach gaya …verna shayad uska bhi yahi haal hota … jis ladki ne anjane mein uski zindagi bachai …use se milne ke liye Aagosh bechain ho jata hai… magar vo nahi mil pati… ye ladki koi aur nahi hai….ye Manohar Nerulkkar Hospital mein internship ke liye aane wale 6 students mein se ek hai…..Sadhna… Sadhna life ko hamesha positively dekhati hai apne swargiy pita Major Satyadev ki tarah nidar, swabhimani aur strong hai… uske pita army mein the, unhone zindagi mein jitney bhi jung lade hain, jeet kar aaye hain… Lekin retirement ke baad ab wo RTI karay karta (activist) ke taur par kaam kar rahe the… karaykarta (Activist) ke taur par kaam karte hue unhein kai dafe maarne ki dhamki bhi di gai hai… vo nahi mane toh finally dushmano ne unhe mar diya…. Apne pita ki vajah se Sadhna aur uski Mummy ko bhi jaan se maarne ki dhamki milti rahti hai. Sadhna ki Mummy apni beti ko lekar hamesha chintit rahti hain. Khas kar tab, jab Sadhna ka night shift hota hai, wo hamesha prarthna karti rahti hain ki Sadhna sahi salaamat ghar aa jaaye....
Agli subah jaise hi Aagosh Hopsital pahuchta hai uska parichay (introduction) hota hai….apne naye 6 interns se.. Sadhna ko dekh kar vo surprised hai…tabhi uski maa Laxmi ka phone aata hai aur vo use batati hai ki salon se hum jo case lad rahe the jeet gaye ….Aagosh ko yakin ho jata hai ki Sadhna uske liye lucky hai… Nerulkar Hospital main aayi dusari Intern Anika, intelligent hai ..magar dari sehmi rehti hai..kam bolti hai….uske ghar ko sharpit ghar kaha jata hai..kyunki uski maa aur do badi vidhva behnon ke sath vo rehti hai….Anika Rajiv se pyar toh karti hai magar shaadi ke liye mana kar deti hai ..kyunki use dar hai ki kahin vo bhi uski maa aur behan ki tarah vidhva na ho jaye… Rajiv ek mashhoor jyotish ka sabse chhota beta hai… Rajiv ke pita Rajiv aur Anika ke rishte ke khilaf hain…unka kahna hai jis ghar mein teen-teen vidhwayein hone wahan shadi karna ashubh hoga. Rajiv Anika se shadi karna chahta hai aur apne pita ko ghalat saabit karna chahta hai….Anika na Rajiv ko chhod pa rahi hai na us se shaadi kar paa rahi hai…vo duvidha mein fasi rehti hai…..ki kya kare?? Sagarika, teesri intern hai jo Maharashtra ke mash’hoor cardiac surgeon ki sauteli beti hai, Ghar main kum aur baahar jada raheti hai, kyoki ghar main usaka apna koi hai nahi, Sagarika ke maa apni hi beti yaani Sagarika ki bahen Nisha ke khoon ke ilzaam main saja kaat rahi hai, aur Sautele pitaji se usse kuch khas lagav nahi hai…isliye adhikar samay vo hospital mein bitana chahti hai…. Is hospital ki chauthi intern hai …Bhavana, ex-gynaecologist Rani Sahay ki beti hai…uski maa Alzheimer se pidit hain…batein bhul jaya karti hai.. jiski vajah se ek dafe childbirth ke dauran wo maa-bachcha dono ko bacha nahi paai thi. Us baat ka malaal use aajtak hai. Us haadse ke baad Rani ghar pe hi rahti hai. Bhavana ki duniya uski maa hai…vo unhe har khushi dena chahti hai…Bhavana ka ek door ka rishtedaar hai Vivek jo us se shadi karna chahta hai. Aur Bhavana ki saari daulat hadapna chahta hai…
Surya, is hospital ke 5ve intern hain….inke pita Kasbekar ek encounter specialist hain. ..Surya ko doctor banane ke pichhe unka maksad hai ki unhone jitne logo ki jaan li hai utne logo ki jaan Surya bacha paye … Surya aur uske pita ke vichar nahi milte hain…..vo bhi aksar Sagarika ki tarah hospital mein samay bitata hai….
Surya ke alava hamara dusra aur chhatha male intern hai ..Mahesh, Maharashtra ke ek gaon se hai aur pita ne kheti mein nuksaan hone ki vajah se khudkhushi kar liya tha… apni class mein sabse achchha student hone ke baavjood Mahesh paiso ki tangi ki vajah se MBBS ka final year continue nahi kar pata hai.
Kuchh hi dino mein sabhi interns ki dosti ho jati hai…. Surgeries ke dauran sabhi interns operation theatre mein ja kar sari gadtividhiyaan dekhne ko betaab rahte hain ….lekin har waqt Aagosh ko assist karne ke liye Sadhna ko hi bulaya jata hai. Kahin na kahin Sadhna ke taraf diya jaane wala special attention sabko dikhane lagta hai..Sadhna Aagosh ka uski aur itna jhukav dekh kar uncomfortbale hone lagi hai…..
Ek din breakfast ke baad sare students aapas mein baatein kar rahe hote hain. Aur achanak ek dozen police wale hospital mein enter karte hain, pata chalta hai ki ek 45 saal ki lady ne suicide karne ki koshish ki hai. Ye lady Sagarika ki maa hai. Unhe bahut mushkil se bacha liya jata hai… Sagarika ki Maa ke bare mein bahut si baatein newspaper aur television ke dwara saamne aati hai….Sagarika ko lagta hai ki uski dosti par iska asar hoga ..magar sabhi interns uski sithati ko samjhte hain aur use comfortable feel karvate hain…
Jaise jaise din beet’te jaate hain sare students anubhavi (experienced) hote chale jaate hain, unhein nai nai chizon ke bare mein seekhne ko milta hai…..
Sadhna Hospital mein kisi mariz ka birthday manane ke liye market se shopping karke ..jaise hi auto mein baithati hai..auto wala jane se mana kar deta hai…Sadhna aur uski behas ho jati hai vo Sadhna ko ulta seedha keh kar uski insult karne lagta hai… rikshawala battmizi par utar aata hai, tabhi Aadvik aake Rikshawale ki pitai karta hai, aur Sadhna ko jaane ke liye kaheta hai, Auto wale ko apni galti ka ahesas ho jaata hai aur maafi mangata hai, ab Aadvik uski chot dekh kar khud usse Hospital le jata hai, jahan Sadhna already hai….Hospital mein in donon ko dekhkar Sadhna chaunk jati hai. Wo Aadvik hospital ke reception pe baat karte hue sunti hai ki is auto wale ka muft mein ilaaj hoga. Aadvik ke rude aur rough behaviour ke pichhe uske sache man ko pehchan jati hai aur use vo achcha lagne lagta hai….jab use ye pata chalta hai ki Aadvik Aagosh ka bada bhai hai vo aur jayada impress ho jati hai ki itne bade hospital aur construction company ka malik hone ke bavjud usne koi ghamand nahi hai….
Aur doosri taraf Aagosh waqt-bewaqt Sadhna ko special feel karwae ki koshish karte rahta hai. Ye saari baatein hospital mein ek naya mahaul create kar deti hain. ..Tang aakar ek din Sadhna yahan tak kah deti hai ki agar Aagosh apne behaviour mein change nahi layega to wo doosra hospital dhundh legi. Saare hostpital mein is baat ki charcha ho jati hai ki hospital ka Dean ek nayi intern ke sath flirt karta hai.
Sadhna jane anjane Aadvik se milti rehti hai aur us se aur jyada impress hoti rehti hai ..apne man ki batein aksar vo Sagarika se share karti hai…Sagarika apne ghar nahi jaana chahti aur issiliye woh jyadatar waqt Hospital main hi bitati hai, aur Surya ki bhi apne pita se nahi patati toh who bhi adhiktar samay hospital main hi raheta hai, aur issi wajah se unki najdikiyaan badhne lagi hain… Ek din hospital mein Giridhar Lal naam ke bahot bade businessman admit hote hai, jinka heart replace karna hai. Aagosh is mauqe ka faaida uthana chahta hai…..Giridhar Lal jais rich aur famous insan ka successful ilaaz karna uske liye aur uske hospital ki income ke liye bahut jaruri hai…
Kahani mein mod us waqt aata hai jab Aagosh ko pata chalta hai ki Giridhar Lal ka tissue ek dosre gareeb mariz (patient) Shyam se match karta hai. 58 yr old patient Shyam ko kidney ki problem hai…. Uske gharwalon ke pas ilaaz ke liye paisa nahi hai… Giridhar Lal ka tissue match karne se Aagosh ke dimaagh mein ek khatarnaak idea aata hai. Wo Shyam ke bête Raaj ko bula kar kahta hai ki 4 laakh kharch karne ke baad tumhare pita agar bach gaye to bhi kuchh saal tak jivit rah payenge. Lekin agar tumhare pita ki natural death ho jati hai to main badle mein tumhein 50 laakh dene ko taiyaar hu. Tumhare paise bach jayenge so alag.
Jab ye baat Sadhna ko pata chalti hai to wo shocked reh jati hai ki Aagosh itna jyada money minded hai…. Shyam ke ghar wale Aagosh ki baat manane se mana kar dete hain…. Samay par heart replace na hone ki vajah se Giridhar Lal ki death ho jati hai. Gusse mein aakar Giridhar Lal ka beta sare doctors ko dhamki de deta hai ki jo koi bhi Shyam ka operation karega wo jaan se jayega. Koi bhi doctor Shyam ka operation karne ko taiyaar nahi hai…sabhi senior doctors apne kadam pichhe kar lete hain… Aise mein Sadhna aur mahesh aage badhte hain aur Shyam ka operation karke unki jaan bachate hain aur apne doctor hone ka farz nibhane hain….
Iske baad senior doctors aur interns ke bich bada conflict create ho jata hai. Is se Aagosh ka ego hurt hota hai. Sabhi ko pata hai ki hospital kyun banaya gaya tha. Dhire dhire poore hospital mein ye baat fail jaati hai ki khud hospital ke maalik ne apne patient ke maarne ki saazish rachi. Laxmi Devi aur Aagosh mein bahes ho jaati hai, Aadvik ko bhi Aagosh ki ye harkat pasand nahi aai hai.. Aadvik hamesha Hospital se door raha tha. Lekin ab na chahte hue bhi use bich mein aana pada, who Aagosh ko samjhata hai ki, Pita ki ichchaa ka khyal rakhte hue use hospital ko chalane mein apni zimmedaari nibhani chahiye… Sadhna Aadvik ke aise vicharo se aur jyada uske kareeb aane lagi hai…
Sadhna jitna koshish karti hai ki wo Aadvik se door rahe utani hi najdeek paati hai. Ye ehsaas dhire dhire Aadvik ko bhi hota hai….. unka pyar aage badhne lagta hai jis baat se Aagosh anjan hai…. Maa ko ye rishta manjur hai .. Aagosh ko sach pata chalta hai magar vo kuchh nahi kar pata hai…Aur finally, Aadvik aur Sadhna ki shaadi hoti hai….
Shaadi ke baad wo bhi us hospital ki co-owner ho gai hai. So family mein problems badhti hi ja rahi hai….. ek aur Aagosh ka marizo ki aur practical raviya hai toh dusri aur Sadhna ka sevabhav ka … Aagosh se bardast nahi ho raha hai ki Sadhna uske samne hai magar uski nahi hai…
Malkin banane ke baad bhi vo Anika, Bhavana, Sagarika, Mahesh, Surya ke sath pahle jaise hi behave karti hai ….ab bhi unki dosti kayam hai… ek din ek ladki admit hoti hai. Uske sath gang rape hua hai. Wo apna maansik santulan kho chuki hai. Ye sare intern apne apne unique tareeke se sabhi cases ko handle karte hain. sath hi sath ye sab ke sab apni zindagi ke nizee problems bhi solve karte rahte hain.
In sabhi ghatnaon ke dauraan, Laxmi Devi ke ghar ka mahaul din-b-din bigadta hi ja raha hai. Laxmi Devi apne beton ke bich in matbhed (conflicts) ko dekh kar pareshan rahti hai. Iska asar unki sehat par bhi pad raha hai. Aur ek din wo nirnay (decide) karti hai ki Aagosh ki marzi ke anusar jaydad ka batwara kar diya jaye.
Hospital ab do buildings mein divide ho jata hai. Bada sa compound do chhote chhote compound mein bant jata hai. Ek taraf hospital ka Dean ab bhi Aagosh hai. Doosri taraf Sadhna se Dean ban ne ko kaha jata hai to wo mana kar deti hai. Ek senior doctor ko dean bana kar khud ek normal doctor ki tarah kaam karti hai.
Aagosh, Giridhar Lal ke bête ki madad se apne hospital ko VIP hospital mein convert kar deta hai jahan sirf ameer logon ka ilaaj hota hai. Builder dost ki madad se shahar ke bade bade contacts uske paas hain. Sab usi ke hospital mein ilaaj karwane aate hain. iidhar, Aadvik aur Sadhna Hospital ke jariye logo ki seva karne mein lage hain…
Ek din Sadhna aur Aagosh ki behas ho jati hai.. jahan Sadhna is baat ke liye khud ko lucky manti hai ki Aagosh uski zindagi ka hissa nahi bana…. Aagosh is beijjati ka badla lena chahta hai aur vo dhire dhire Sadhna ke hospital ke doctors ko zyada paiso ka lalach dekhar apne hospital mein bulata hai. Jo nahi aate unhein dhamki dene se bhi baaj nahi aata. Sare interns Aagosh hi ke hospital mein aate hain. Uska ek hi maqsad hai, Sadhna aur Aadvik ki zindagi uska Hospital tabaah karna.
Kahani mod leti hai jab Sadhna aur Aadvik ke paas kuchh nahi bacha hai. Na doctors, na paisa, na funds, fir bhi wo kaise apna santulan banaye rakhte hain. Ab shuroo hota sahi ghalat ke bich ladai, shaitaan aur insaan ke bich ladaai, socialism aur communism ke bich ladaai… Sadhna aur Aadvik road par aa chuke hain…. Na paisa hai na ghar … in sabke baavjood vo kaise apne hospital ko zinda rakh paate hain? Kaise unki achchai ki jeet hoti hai…Hospital mein kya galat kaam hote hain…paisa banane ke liye kaise Doctor marizon ko darate hain…. Kya kya ghotale hote hain…kis tarah Doctors achchai ke liye aawaz uthate hain… Isi tarah ke aur bhi anchhuye pahloo jo honge ‘Zindagi Jeene Ke Liye’ mein.’Hospital aur Doctors ki zindagi ki kahani…. thodi jaani- thodi anjaani….